waqt poetry

Waqt Poetry: Best Waqt Poetry In Urdu 2 Lines Text – PoeticExplorers

Spread the love

Waqt Poetry In Urdu,

In this blog you can read the best collection of guzra waqt poetry in urdu. Read and share them with your friends and your loved-one. If you read the best punjabi shayari & ghazal then visit this site. The Poetry Addiction

Waqt poetry dives into the idea of time. It talks about how time passes and how it affects our lives. Each poetry shows how life changes and reminds us to value each moment. It says that even tough times don’t last forever. Through simple words and pictures, Waqt poetry in urdu makes us think about how time moves and why each second matters.

Trending Posts.

Best Waqt Poetry In Urdu 2 lines Text

waqt poetry in urdu
waqt poetry in urdu

Umar bhar milny nahi deti hain ab to ranjishen
Waqt hamse rooth jaany ki ada tk le gaya

عمر بھر ملنے نہیں دیتی ہیں اب تو رنجشیں
وقت ہم سے روٹھ جانے کی ادا تک لے گیا

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

mushkil waqt poetry in urdu
mushkil waqt poetry in urdu

Meray bure waqt nay hi haqeeqat dekhai
Jise mein apna samjhta tha unho nay hi auqat dekhai

میرے برے وقت نے ہی حقیقت دکھائی
جسے میں اپنا سمجھتا تھا انہوں نے ہی اوقات دکھائی

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Waqt Poetry In Urdu

waqt poetry in urdu text
waqt poetry in urdu text

Tumhara ghuroor tumhein fana karwayein ga
Mein kya hoon yeh tumhein waqt batayein ga

تمہارا غرور تمھیں فنا کرواییں گا
میں کیا ہوں یہ تمھیں وقت بتاییں گا

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

guzra waqt poetry in urdu
guzra waqt poetry in urdu

Top Famous Guzra Waqt Poetry In Urdu Text

Mumkin hai aisa waqt ho tarteeb-e-waqt mein
Dustak ko tera hath barhe mera dar na ho

ممکن ہے ایسا وقت ہو ترتیب وقت میں
دستک کو تیرا ہاتھ بڑھے میرا در نہ ہو

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

waqt poetry
waqt poetry

Mein nay har wafadar ko bewafai kartey dekha hai
Waqt aane pay her ik ko rang badalte dekha hai

میں نے ہر وفادار کو بے وفائی کرتے دیکھا ہے
وقت آنے پہ ہر ایک کو رنگ بدلتے دیکھا ہے

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Touching waqt poetry in urdu
Touching waqt poetry in urdu

Best Touching Waqt Poetry In Urdu Text

Kuch waqt guzarne k baad ehsaas hota hai
Zindagi mein jo hota hai acha hota hai

کچھ وقت گزرنے کے بعد احساس ہوتا ہے
زندگی میں جو ہوتا ہے اچھا ہوتا ہے

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Zara sa waqt kya badla nazar milane lagay
Jin ki auqaat nahi thi woh b sar uthane lagay

ذرا سا وقت کیا بدلہ نظر ملانے لگے
جن کی اوقات نہیں تھی وہ بھی سر اٹھانے لگے

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Ae khuda bas itni si choot day day
Waqt say lar pao aisi taqaat day day

اے خدا بس اتنی سی چھوٹ دے دے
وقت سے لڑ پاؤ ایسی طاقت دے دے

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Kuch hi dair ki khamoshi hai phir kaano mein shor aayega
Tumhara to sirf waqt aaya hai, humara dor aayega

کچھ ہی دیر کی خاموشی ہے پھر کانوں میں شور آے گا
تمہارا تو صرف وقت آیا ہے، ہمارا دور آے گا

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Do hi gawah thay meri mohabbat k
Waqt aur woh, ik guzar gaya dusra muqar gaya

دو ہی گواہ تھے میری محبّت کے
وقت اور وہ، ایک گزر گیا دوسرا مکر گیا

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Bura Waqt Poetry

Mahrban ho K bula lo mujhay chaho jis waqt
Main gaya waqt nahi hoon keh phir aa bhi na sako

مہرباں ہو کے بلا لو مجھے چاہو جس وقت
میں گیا وقت نہیں ہوں کہ پھر آ بھی نہ سکوں

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Waqt hota hai har ek zakhm ka marham mohsin
Phir bi kuch zakhm thay aisay jo na bharte dekhay

!وقت ہوتا ہے ہر ایک زخم کا مرہم محسن
پھر بھی کچھ زخم تھے ایسے جو نہ بھرتے دیکھے

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Umer bher milnay nahi daite hay ab to ranjashay
Waqt hum say rooth janay ki ada tak lay gaya

عمر بھر ملنے نہیں دیتی ہیں اب تو رنجشیں
وقت ہم سے روٹھ جانے کی ادا تک لے گیا

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Kaha say layu wo guzra hua waqt
Jis may tum muyassir hua kertay thay

کہاں سے لاؤں وہ گُزرا ہوا وقت
جس میں تم میسر ہوا کرتے تھے

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Aur kiya chahti hay gardish e ayaam k hum
Apna ghar bhool gaye unki gali bhool gaye

اور کیا چاہتی ہے گردشِ ایام کہ ہم
اپنا گھر بھول گئے اُن کی گلی بھول گئے

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Us waqt ka hisaab kiya don
Jo teray baghair kat gaya hay

اس وقت کا حِساب کیا دوں
جو تیرے بغیر کٹ گیا ہے

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Rakh diya waqt ne aina bna kr mujhko
Ru ba ru hoty howy bi main faramosh raha

رکھ دیا وقت نے آئینہ بنا کر مجھ کو
رو بہ رو ہوتے ہوئے بھی میں فراموش رہا

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Na jany kitny charangon ko mil gayi shohrat
Ek aftab k be waqt doob jany se

نہ جانے کتنے چراغوں کو مل گئی شہرت
اِک آفتاب کے بے وقت ڈوب جانے سے

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Mushkil Waqt Poetry Urdu

Ek zakham tha keh waqt k hathon se bhar gaya
Kiya pochty hain aap kesi mehrbaan ki baat

اِک زخم تھا کہ وقت کے ہاتھوں سے بھر گیا
کیا پوچھتے ہیں آپ کسی مہرباں کی بات

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Waqt e rukhsat hua to ankh mila ker nahi gaya
Wo kyu gaya hay yeh bi bata ker nahi gaya

وقت رخصت ہوا تو آنکھ ملا کر نہیں گیا
وہ کیوں گیا ہے یہ بھی بتا کر نہیں گیا

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Waqt rehta nahi kahin tik kr
Aadat is ki aadmi si hay

وقت رہتا نہیں کہیں ٹک کر
عادت اس کی بھی آدمی سی ہے

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Jis ko jo kehna hay kehnay do apna kya jata hay
Waqt waqt ki bat hay aur waqt sab ka ata hay

جس کو جو کہنا ہے کہنے دو اپنا کیا جاتا ہے
وقت وقت کی بات ہے اور وقت سب کا آتا ہے

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Sara shehr shanasaae ka dawedaar to hay laikin
Kon hamara apna hay waqt mila to sochay gay

سارا شہر شناسائی کا دعوِیدار تو ہے لیکن
کون ہمارا اپنا ہے وقت ملا تو سوچیں گے

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Sada aish e douran dikhata nahi
Gaya waqt phir haath aata nahi

سدا عیش دوراں دکھاتا نہیں
گیا وقت پھر ہاتھ آتا نہیں

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Subh hoti hay shaam hoti hay
Umer yuhi tamaam hoti hay

صبح ہوتی ہے شام ہوتی ہے
عمر یونہی تمام ہوتی ہے

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Yeh mohabbat ka fasana bi badal jaega
Waqt k saath zamana bi badal jaega

یہ محبت کا فسانہ بھی بدل جائے گا
وقت کے ساتھ زمانہ بھی بدل جائے گا

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Unka zikr unki tamanna unki yaad
Waqt kitna qeemti hay aaj kal

ان کا ذِکر ان کی تمنا ان کی یاد
وقت کتنا قیمتی ہے آج کل

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Kahtay hain umr e rafta kabhi lautti nahi
Ja mai kady say meri jawani utha k la

کہتے ہیں عمرِ رفتہ کبھی لوٹتی نہیں
جا میکدے سے میری جوانی اُٹھا کے لا

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Ager fursat mily paani ki tahriron ko padh lena
Hr ek dariya hazaroon saal ka afsana likhta hay

اگر فرصت ملے پانی کی تحریروں کو پڑھ لینا
ہر اِک دریا ہزاروں سال کا افسانہ لکھتا ہے

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Waqt barbad karny walon ko
Waqt barbad kr k chorega

وقت برباد کرنے والوں کو
وقت برباد کر کے چھوڑے گا

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Safar pichy ki janib hay qadam aagy hay mera
Main budha hota jaata hon jawan hony ki khatir

سفر پیچھے کی جانب ہے قدم آگے ہے میرا
میں بوڑھا ہوتا جاتا ہوں جوان ہونے کی خاطر

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Top zindagi waqt poetry in urdu

Ghzal usne chedi mujay saaz dena
Zara umer e rafta ko awaaz dena

غزل اس نے چھیڑی مجھے ساز دینا
ذرا عمرِ رفتہ کو آواز دینا

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Rabta laakh sahi qafila salar k saath
Hamko chalna hay magr waqt ki raftar k saath

رابطہ لاکھ سہی قافِلہ سالار کے ساتھ
ہم کو چلنا ہے مگر وقت کی رفتار کے ساتھ

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Allah teray haath hay ab aabru e shauq
Dam ghut raha hay waqt ki raftar dekh kr

اللہ تیرے ہاتھ ہے اب آبروِ شوق
دم گُھٹ رہا ہے وقت کی رفتار دیکھ کر

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Hazaroon saal safar kr k phir wahin pahunchy
Bahot zamana howa tha hamen zamin se chaly

ہزاروں سال سفر کرکے پھر وہاں پہنچے
بہت زمانہ ہوا تھا ہمیں زمیں سے چلے

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Woh thay jawab k sahil pe muntazir lekin
Samay ki nao may mera sawal doob gaya

وہ تھے جواب کے ساحل پہ منتظر لیکن
سمے کی ناؤ میں میرا سوال ڈُوب گیا

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Rokay say kahin hadsa e waqt ruka hay
Sholon say bacha shehr to shabnam se jala hay

روکے سے کہیں حادثہِ وقت رُکا ہے
شُعلوں سے بچا شہر تو شبنم سے جلا ہے

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Zulf thi jo bikhar gai rukh tha keh jo nikhar gya
Haay wo shaam ab kahan haay wo ab sahar kahan

ذُلف تھی جو بکھر گئی رُخ تھا کہ جو نکھر گیا
ہائے وہ شام اب کہاں ہاۓ وہ اب سحر کہاں

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Bichertay waqt sare burayeh gawaye us nay
Soch raha hu jab mila tha to kya huner tha muj may

بچھڑتے وقت ساری برائیاں گنوائی اس نے
سوچ رہا ہوں جب ملا تھا تو کیا ہنر تھا مجھ میں

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Hum ko b taiz lagti thi raftaar waqt ki
Laikin wo intizaar say pehlay ki baat hay

ہم کو بھی تیز لگتی تھی رفتار وقت کی
لیکن وہ انتظار سے پہلے کی بات ہے

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Na ruki waqt ki gardish aur na zamana badla
Pair sukha to parindon ne thikana badla

نہ رُکی وقت کی گردِش اور نہ زمانہ بدلا
پیڑ سوکھا تو پرندوں نے ٹھکانہ بدلا

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Waqt nahi hay kesi k paas
Jab tak na ho koi matlab khaas

وقت نہیں ہے کسی کے پاس
جب تک نہ ہو کوئی مطلب خاص

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Conclusion

In summary, Waqt poetry teaches us about time and why every moment is precious. It reminds us to enjoy life and not worry too much about what’s ahead. These waqt poetry are like little lessons that help us appreciate the present and stay hopeful for the future. They’re easy to understand and speak to everyone, reminding us that time is always moving, and it’s up to us to make the most of it.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *